Wednesday, March 20, 2013

Islami ilaaj se pehle kuch parhez

JIs tarha har ilaaj ka parhez hota hey bilkul ishe tarha islami ilaj k bhi chand parhez hen. To Islami ilaaj se pehle kuch parhez ye hen jin par amal karne se hum zehni' rohani or jismani ilaaj se mustafeed hosakte hen..

1: Hame chahiye k Allah Tala k sath kisi ko shareek na karen or apni sab hajaten Allah Tala se pura hone ka yakeen rakhen. maslan "Rizk, Olad or Sehat" in sab cheezo k liye tamam duaen Allah se mange Or Allah RabUlIzzat k ilawa kisi bhi jandaar ya bejaan k upar ye yakeen rakhna ya un k agey hath phelana sab shirk hey..Beshak shirk zulm e azeem hey or mushrik k liye mafi nahi hey..

2:
NaMAz ko waqt par or pure khushu wa khuzu k sath ada karen.. Namaz Rohani ilaaj hey or hamare sukoon ki waja bhi. miswaak karke wazoo karen' kyoonke miswaak moo ki har beemari k liye faide mand hey..

3:
Din me kam azkam 100 martaba "Astagferullah" parhen kyoo k ye lafz rab ko razi karta hey. Masnoon "Astagfaar" parhen or Allah TAla se apne gunaho ki maafi mange. kYun k Rasool (sallallahoalehewasallam) ka farman hey k : "Jo shaks "Astagfaar" ko lazim pakre to Allah is k liye har gam se nijaat or har tangi se chutkare ka samaan kardete hen or esi jaga se rozi dete hen hen k jaha se us shaks ko wehm o gumaan bhi nai hota".. (Ibne Maja , Abu Dawood)..

4:
Amdani Halaal ho is k ilawa tamam haram kamo se bachna bhi zaruri hey.. Rasool (sallallahoalehewasallam) ne zikar kya hey ese bande ka jo k lambe lambe safar karta hey' gard o gubaar men bhara hey phir asmaan ki taraf hath uthata hey or kehta hey k Aey mere Rab ! Nabi (sallallahoalehewasallam) ne farmaya halake us ka khana peena sab haraam ka hey or libaas bhi haraam ka to phir uski Dua kese kabool hogi?".. (Sahee Muslim)..

5:
Hame chahiye k rozana kuch na kuch kheraat karen. cHahe woh 1 rupiya he kyoo na ho. Hadees Nabvi (sallallahoalehewasallam) hey k : Sadqa Allah k gazab ki aag ko bujhadeta hey or buri mot se bachata hey" (Tirmizi Shareef) 

Or iske ilawa bhi har saal sahi se hisaab karke puri zakaat zaroor ada karni chahiye hame..

6:
Hame chaiye k hum pak saaf rahen, hosake to rozana gusal karen. Or gusul islami tareeke se karen kyoonke gusul karne se bohat si beemariya door hoti hen..

7:
Rozana kam azkam 1 safa Quran pak tarjume k sath subha or 1 safa raat ko sone se pehle zarur parhen or phir sirf parhna he nahi hey balke is par amal bhi karna hey. kyuke Quran Pak me har beemari k liye shifa hey.. Allah Tala farmate hen k " Or hum Quran nazil karte hen jo k momino k liye shifa or rehmat hey".. (Sure Bani Israeel)..

8:
Or Hame cHahiye k Allah Tala ki har nemat khane peene k baad us ka shukar ada karen. wOh isliye k Allah Tala shukar ada karne se apni nematen barhadete hen. Allah Tala farmate hen " Agar tum shukar guzar hogey to me tumhe zayada doonga".. (Sure IbRahim)..

9:
GUnah Kabira' maslan Allah k sath kisi ko shareek karna, jhoot bolna, geebat karna, haram khana, zana karna , sharaab peena, walden ki nafarmani karna,munafiqat karna,hasad karna, Takabbur karna, Riya kari karna, Zulm karna, Wada khilafi karna or sood se hame Jaha tak ho sake bachna chahiye..

10:
OR hame koshish karni chahiye k hum chote gunaho se bhi bachen. maslan (Na moharram ko dekhna,ilzam tarashi, choti choti bato par larna wagera) kyu k chota gunah bhi hakeekat men gunah he hota hey.. chote gunah ko chota guna sirf bare or chote me faraq karne ko kaha jata hey. Misaal k tor par agar kisi bare gunah ki saza Allah Tala 1 saal jahanum me rehna mukarrar karen.. or 1 chote gunah ki saza 1 ghanta jahanum me rehna. to kya khayal hey kya hum 1 ghanta jahanum me reh lengey?? Isliye hame chote gunah ko chota samajh k nazar andaz nahi karna chahiye or jaha tak ho sake chote gunaho se bhi bachne ki har tarha se koshish karni chahiye jese bare gunaho se bachte hen..

11:
Subh ki azan se takreeban 1 ghanta pehle uthen' ye raat ka akhri peher hota hey. YE duaen or ibadate kabool hone ka behtreen waqt hey. Hadees me ata hey k Ap (sallallahoalehewasallam) se pucha gaya k "kon si dua zayada kabool hoti hey? tO Ap (sallallahoalehewasallam) ne farmaya Raat k akhri hisse men or farz namazo k baad".. (Tirmizi Shareef)..

ISliye hame chahiye k namaz e tahajud zarur parhen or Allah Tala se Duaen mange..

No comments:

Post a Comment